Hindu -Religion - Bhagwan - Devta -
Krishna bhagwan indra ki pooja ko rokbakar Gobardhan parwat ki pooja suru karbaya / indra krodh me akar khub barish kar gokul ko duba dena chaha bhagwan Krishna kani ungli per gowardhan parwat ko utha kar sub ko bacha liya / ant me har kar indra ne jan liya ki Sri Krishna permatma hai , unse chhama manga /
Bhagwan- God, Allah, Khuda, Iswar, Parampita Permeshwar, Permatma, Takurji, Prabhu , Ohm, Brahm, --
Ram, Krishna, Brahma, Vishnu, Mahesh ( Shiv , Shankar, ), Ganesh, Hanuman, Kartikeya, Balaji of Tirupati, Babosa (Rajasthan) Ganga Ram (Rajasthan), Khatu shyam(Barbarik – Rajasthan /
Bhagwan - 33 crore devta hai , unke raja indra hai / indra ke upper brahma visnu mahes hai / bhama Vishnu mahes jinko dhyan karte rahte hai o nirakar bhagwan , ram banker trta me aye phir bahi bhagwan dwapar me Krishna banker aye / Vishnu bhagwan ke 24 awataro me sirf Ram aur Krishna Purn purush awtar hai anya sabhi ansawatar hai ,jaise persuram abeshawatar , / Ram Maryada purusottam 12 kalao se purn the, ravan ko bardan tha nar banar marega isiliye kabhi bhagwan banker nahi dikhe / bhagwan Krishna 16 kalao se purn the kai jagah bhagwan banker sudarshan chaka hath me liye , birat rop kurukshetra me dikhaye /
Bhagwan aur Devta –
Rakchhas log kathin tapasya se bhagwan se bardan pakar devtaon ke raja indra ko jit lena chahte the / Ravan ka putra indra ko jit kar Meghnath se indraji kahlaya / Ravan ke darbar me devtaon ke raja indra sabhi devtaon ke sath hath jore uske adesh ki pratikchha karte rahte the //
Ek bar devta log rakchhaso se jit gaye / Jitne ke bad aakash me khule ekant asthan me jit ka jasn mana rahe the / Pawan dev , Agnidev aadi sabhi devta apni apni sakti ka bakhan kar rahe the ki o kitna bara kam kiya / Devtaon me ahankar dekhkar Bhagwan Vishnu soche ki ahankar hone se devtao ka patan hoga , kuchh upay kiya jay jisse inka patan nahi hon /
Bhagwan kuchh duri per ek divya yakchh ban kar baith gaye / Indra ne jasn rok kar pawan dev se kaha ki jakar dekhiye ki divya tej bale yakchh kya hain /
Pawan dev jakar puchhe ki aap kaun hain ? Bhagwan bole ki pahle tum batao ki tum kaun ho? Hum Pawan dev hai ; bhagwan bole hum nahi jante hai ki pawan dev kya hai / tum apni sakti ke bare me bolo ; pawan dev apni sakti ka bakhan karne lage ; Bhagwan bole tum is sukhe tinke ko ura do to tumhare kahe sub bat ko man lenge / pawan dev jab apni sakti usper lagane lage tubhi , bhagwan ne apne dwara pawan dev ko di gai sakti khich liya o sakti hin ho gaye , pawan dev ko mahsoos hua ki humari sakti khatam ho gaya hai / o lot kar raja indra ko bole ki kuchh pata nahi chala /
Ohi hal agni dev ke sath hua , o ek sukha tinka jala nahi jala sake / laut kar indra dev ko ohi bat bole ; kuchh pata nahi chala /
Devraj indra sub samajh gaye ki kuchh pata nahi chhala ; o sub ke sath jakar hath jor kar us divya yakchh se bole aap kaun hain ?
Bhagwan Vishnu bole tum logo ko ahankar ho gaya tha , ahankar khatma karne ke liye yah sub karna para /
Bhagwan ke Ango me sabhi Devtaon ka niwas hai , bhagwan ki pooja karne se sabhi devta ki pooja ho jati hai / Bhagwan ek hai roop anek hai //Indra -Indrasan – Devtaon ke raja ka pad hai / jo bhakt subse jyada punban hoga Vishnu bhagwan use indra ke pad per baitha denege / Jo bhi indra hote hai unhe is bat ka dar rahta hai ki koi hum se jyada punya na kare , jab unhe kisi ke tapasya per lagta hai ki o humse jyada ho jayega / use bighna dalte hai ki o asafal ho jaye / kabhi kabhi to indra har man lete hai aur pate hai ki punyaban humse bahut jyada age hai o humare pad ko chhota man raha hai is pad per ayega hi nahi / use indra pranam karte hai /=
Krishna bhagwan – Indra –
Devta, Dev , Sur, - Indra-King, Dharmraj, Yamraj, Surya(Sun), Pawan, Agni, Brihaspati-Dev Guru, Vishwakarma [Dev Silpi] , Chitragupta, Kuber, Kamdev-Rati, 2 Aswini Kumar, Varun (jal ke dev ) , Arun, Vrun(Uranus in greek word) Vastudev, Lokpal, 10 Dikpal, Pitridev, Matridevo , Gurudevo , Atithi deo , //
Nav Grah - 1- Sun,Surya, / 2- Som,Moon,Chandra, /
3- Mars, Mangal, Tuesday, / 4- Budh, Murcury, Wednesday, /
5- Jupiter, Brahpati, Guru, Thursday, / 6- Sukra, Venus, Friday, /
7- Sani, Saturn, / 8- Rahu , 9- Ketu,
Share:
No comments:
Post a Comment