Gopi cheer haran leela shri krishna





Gopi cheerharan Leela
Radhe Radhe,

The main point of highlighting this story in this blog is that all the gopi/girls were between 6 to 8 years of age when this cheerharan Leela happened(as mentioned in shri mad bhagwad).
When we watched this story of TV, they have shown them around 20-25 years of age.
Probably it would have looked awkward on TV to show them between 6-8 years.
But the point is, every krishna bhakt should know the reality irrespective of what is shown on national television.
So here is the full story:
This story is in Hindi+English.
You can read this story in English from here.

Shukdev ji says to Pareekshit:

Nandbraj aur Basane ki sabhi balikao ne brajrajkumar(shri krishna) ko var roop mein pane ke liye kartik mahine ki purnima se bhagwati katyayani ke vrat shuru kar diye.
Vrat ka sankalp lene wali balikayein abhi bahut chhoti umar ki hai, unmein sabse badi 10 years ki 'chandrawali' hai. baki sab 6 se 8 years ke beech ki hai.
ye sab gwal-balo ki sagi behen(real sister) hai.
krishna ki age 7 years, 3 months, 22 days hai.

sabhi balikao ke bhagwati katyayani se yahi wish rahti thi:
"nand nandad ko hamara pati bana dijiye. Hum sab is ke liye aapke charno mein pranam karti hai"
aisa karte karte(vrat rakhte rakhte) 1 mahina beet gaya, par in balikao ko nahin pata, ki ye vardaan dene ki power bhagwati katyayani mein nahin hai.Kyunki bhagwan sirf apni kripa se hi prapt hote hai.
aisa karne ki shakti kisi devi-devta mein nahi hai.

(devi-devta ki shakti seemit(Limited) hoti h, jabki bhagwan ki shakti aseemit(unlimited) hai,
aur devi devta vardaan dene se pehle ye nahin sochte ki ye tumhare liye acha hai ya bura(like a shopkeeper), par shri krishna is baat ka dhyan rakhte hai ki jo wo de, wo tumhare bhale ke liye ho(like a mother))


Bhagwati katyayani ko pata hai, ye vardaan dene ki power unke paas nahin hai.
isliye wo bhi bhagwan shri krishna se prathna(prayer) kar rahi hai.
Bhagwan ke ye pukar sun li hai.

vrindavan mein krishna gocharan(cows ko chara khilana) ke liye chal diye hai.
aaj dau(balram ji) ko nhi jana h, kyunki ab ye cheer haran leela bade bhai se saamne thodi kar sakte hain...:D(haha)
aaj shri krishna bhagwati katyayani mandir ke paas gaye hai.
unhone door se hi dekh liya hai, ki abhi pooja shuru nahin hui hai.
abhi balikayein shri yamuna ji mein nirvastra snan(bath) kar rahi hai.
nirvastra(without clothes) yamuna ji mein nahana galat baat hai. ye jal ke devta varun dev ka apmaan hai.
inko sabak sikhane ke liye bhagwan ji ne balikao ke kapde chori kar liye hai aur aadar se laad kar ped par taang diye.
ab balikayein lajjit ho gayi and shri krishna ko maska(patane) lagi and aur apne kapde vapis maangne lagi.

iske baad maafi maangne par inke kapde wapis kar diye gaye aur balikao ne surya dev ko namaskaar kiya.
Shri krishna ki nazar padne par balikao ke 8 pash kat gaye aur wo bhagwaan ke saath raas ki bhagi bani.
(Shri krishna ki raas ke bhagi banne ke liye sharir(body) mein kisi tarah ka vikaar nhi hona chahiye)

ab sabhi balikayein ek doosre mein baho mein bahein daal kar gaane lagi:

Nanha nanha sa Gopal, mera dulha kamaal
Mein to shyam piya ki dulhaniyan,

Tedhi chale vanmaal, chale tedhi si chaal,
pake run-jhun pair ki painjaniya...

Radhe Radhe...:)






Share:

No comments:

Post a Comment