Devotion
Jab lag naata jati ka ,tab lag bhakti na hoyi
naata tode guru bhaje ,bhakti kahave soyi
Prem bina jo bhakti hai,so nij dambh vichar
Udar bharan ke kaaran,janma ganvaye saar
Bhakti bhaav bhado nahi,sabahi chali gahraaye
sarita soyi sarahiye,jeth maas thahraye
Nirpakchhi ki bhakti hai ,nirmohi ko gyan
nirdundi ki mukti hai,nirlobhi nirbaan
Jab lag bhakti sakaam hai tab lag nishphal sev
Kahe kabir wah kyun mile ,nihkaami nij dev
Bhaav bina nahi bhakti jag,bhakti bina nahi bhaav
bhakti bhav ek roop hai ,dou ek subhau
Jati baran kul khoye ke,bhakti kare chit laaye
Kahe kabir satguru mile ,avagaman nishaye
Vishaya tyag bairaag hai,samta kahiye gyan
Sukhdayi sab jeev so,yahi bhakti parmaan
Bhakti padarath tab mile jab guru hot sahaye
Prem preeti ki bhakti jo,puran bhaag milaye
Aur karma sab karma hai ,bhakti karm nih karma
kahe kabir pukari ke ,bhakti karo taji bharm
Bhakti mahal bahu oonch hai doorahi te darshaye
jo koi jan bhakti kare ,shobha barani na jaaye
Bhaktan ki yah riti hai,bandhe kare jo bhav
prmarath ke kaarane,yah tan raho ki jaav
Bhakti bina nahi nistare ,lakh kare jo koye
shabd sanehi hwai rahe,ghar ko pahunche soye
Bhakti kathin ati durlabh,bhesh sugam nit soye
bhakti ju nyari bhesh se ,yah jaane sab koye
Kaami krodhi laalchi inte bhakti na hoye
bhakti kare koyi surma,jati baran kul khoye
Bhakti beej palte nahi jo jug jaaye anant
oonch neech ghar avatare ,hoye sant ka sant
Dekhi dekhi bhakti ka kabahun na chadhasi rang
bipatti pade yon chhadasi ,kechuli tajat bhujang
Aarat hai guru bhakti karoon,sab kaaraj sidh hoye
karam jaal bhau jaal mein ,bhakt phanse nahi koye
Kabir guru ke bhakti bin ,dhik jeevan sansaar
dhunwa ka sa dhaurahara,binasat lage na baar
Kabir guru ki bhakti ka,man mein bahut hulaas
man mansa maaje nahi ,hon chahat hai das
Bhakti dubaara saankara ,rai daswe bhaaye
man to maingal hoye raha ,kaise aave jaaye
Bhakti duheli gurun ki ,nahi kaayar ka kaam
sees utare haanth so tahi mile nij dhaam
Bhakti ju sidhi mukti ki chadhe bhakt harshaye
aur na koyi chadhi sake,nij man samjho aaye
Share:
No comments:
Post a Comment