Attire
Jo manush grih dharm yut ,rakhe sheel vichar
Gurumukh baani sadhu sang,man vach sewa saar .
Baana pahire singh ka,chale bhed ki chaal
boli bole siyaar ki ,kutta khave kaal
maala tilak lagaye ke ,bhakti na aayi haanth
dadhi muchh mundaaye ke ,chale duni ke saath
Shabd bichare path chale ,gyan gali de paanv
kya ramta kya baithata .kya grih kandala chhanv
kavi to kotik koti hai ,sir ke mude kot
man ke mude dekhi kari,ta sang lije ot
girahi seve sadhu ko ,bhaav bhakti aanand
kahe kabir bairagi ko ,nirbani nirdund
Maala tilak to bhesh hai ,ram bhakti kachhu aur
kahe kabir jin pahiriya,pancho rakhe thor
Chaal bakul ki chalat hai ,bahuri kahave hans
te mukta kaise chuge,pade kaal ke phans
tan ko jogi sab kare ,man ko kare na koyi
sahaje sab bidhi paaiye,jo man jogi hoye
Man maila tan ujara bagula kapati ang
taso to kauwa bhala ,tan man ek hi ang
Boli tholi maskhari ,hansi khel haraam
mad maaya aur istari,nahi santan ke kaam
bairagi birkat bhala ,girahi chitta udaar
dou chuki khali pade,tako vaar na paar
Ghar mein rahe to bhakti karun,naatar karun bairaag
bairagi bandhan kare,taka bada abhaag
Share:
No comments:
Post a Comment