Anupam Vaani





Anupam vaani 


Bande tu lau malik se 


Lyrics -

Bande tu lau malik se laga le 
samay ki moh se hat ke 
yeh sansaar hai bhool bhulaiya
oh murakh tu kahe bhatke 

 siddhi siddhi sagar sagar kan kan mein woh basta 
paani opaani badal badal roop usi ka bikhara hai 
woh rehta hai sabme simat ke oh murakh tu kahe bhatke 
yeh sansaar hai bhool bhulaiya ....

na lehron se tera naata na manjhi se rishta hai 
naav nadi ke beech khada phir kiska rasta takta hai 
chalta chal tu rab rab rat ke oh murakh tu kahe bhatke 
yeh sansaar hai bhool bhulaiya ....

sukh ho ya dukh ho jeevan ko dono hi bharmate hain 
manzil unko hi milti hai jo khud rah banate hain 
palat le pat ab man ghunghat ke oh murakh tu kahe bhatke 
yeh sansaar .....  

Daras bin dukhan laage nain


Lyrics -

daras bin dukhan laage nain ..
jab se tum bichde prabhu mose
kabahun na aayo chain

sabad sunat meri chatiya kanpe
meethe lage bain
birah ka thah kasu kahoon sajani
beh gaye karvat nain

kal na padat pag hari mag jovat
bhayi chama si rain
meera ke prabhu kabre miloge
dukh metan sukh den

Divya roop wali


Lyrics -

Divya roop wali matridevi ki jaykaar karo 
apne samta mamta ki mata  humpe bauchhar karo

shweta warna wali maa ko sab kuchh shweta suhata hai 
shweta reshami wastra bhal pe chandan shweta lubhata hai
shweta pushpa sa nirmal man maa humko de upkaar karo 

shweta kapoor sunghadhit hi mata ke ang suhate hain 
shweta pushpa haar ur abhushan ma ko bhate hain 
shweta chameli pushpa mala se mata ka shringaar karo 

narayan bhi natmastak ho maa ki mahima gaate hain 
shanti gyan sadgun hum maa se paate hain 
brahmalok vasini devi kanchan man ka dwar karo 

Koi kahiyo re prabhu aawan ki 


Lyrics -

koi kahiyo re prabhu aavan ki aavan ki man bhavan ki
aap na aaye likh nahi bheje bana pari lalchavan ki
yeh dou naina kahyo nahi mane nadiya bahe jaise saavan ki
koi kahiyo re prabhu aavan ki
kahan kara kachu nahi bas mero paankh nahi ud jaavan ki
meera kahe prabhu kabre miloge cheri bhayi hun tere naaman ki 

Meaning -

Somebody said that the lord has to come .
He has to come and has to make me happy .

You havent come and neither has send any written thing ,
it seems that I hae been hit by an arrow of  temptation .
these two eyes do not know anything just it seems that
 there is a flow of  the river of  month of rainfalls.

what to say there is no control of mine 
I dont have the wings so that I may fly 
Meera bai says Oh lord when will we meet I have become a slave of your name .


Manush ho to 


Lyrics - 

Manush ho to wahi raskhani
 baso braj gokul gaon ke gwaran 

jo pashu ho to  kaha bas mero 
charo nit nand ki dhenu manjharan

pathar ho to wahi giri ko 
jo dharo kar chhatra purandar dharan 

jo khag ho to basero karo mili 
kalindi kool kadamb ki daran 

Nirbal ka bas ek hi 


Lyrics -

Nirbal ka bas ek hi bal hai daata naam tumhara 
bhatke rahi ka sambal hai daata naam tumhara 

nirbal ka anmol ratan hai pranon ka mitha gunjan hai 
jhukte mathe ka chandan hai daata naam tumhara 

hai yeh janam ka sathi bharam rain isse mit jati 
tan deepak mein jalti baati data naam tumhara 

tumhari kripa agar mil jaaye sari bhav badha mit jaaye 
sanson ka iktara gaaye data naam tumhara 

Prabhu more avagun


Lyrics-

Prabhu more avagun chit na dharo
samdarshi hai naam tiharo chahe to paar karo

 ek nadiya ek naar kahave mailo neer bharo
jab dou mil ke ek baran bhaye sursari naam paryo

 ek loha pooja mein raakhat ek ghar badhik paryo
paaras gun avagun nahi chitvat Kanchan karat kharo

ek  jeev ek brahma kahave Sur Shyam jhagaro
abki ber mohi paar utaaro nahi pan jaat taryo 

Meaning -

O Lord please dont keep any faults in my mind 
Your name is equanimous 
please take me under your shelter.
There is a river and a gutter that is filled with dirty water .
Both of them when meet together they are known with name of the ocean .
(sense: means men are divided in ill witted and a good witted person .They are compared with the river water and the gutter water.Both types of these are there in this world but where they all finally meet is an ocean that does not differentiate between these two gives space to both of them equally in the same way.Lord you are ocean where these two meet and accquire same colour of nature .)
Surdas ji again says that there is an iron that is used in the holy worships while there is another that lies with a brutal butcher .This is not a dilemma for the "Paras" (a stone that is characterized by turning all ferrous objects to golden ones), it converts all the iron in the form of pure gold. 
(sense:you shold also not differentiate between good and bad and should shape everyone in one form that is you .)
He says there is a soul and a supersoul ,Surdas ji fights with the lord ... and says this time you need to take me accross this world I am not able to leave the proud in me so cant cross it by ownself .

Sharde maata hum 


Lyrics -

Sharde maata hum bhakton ko gyan ka de vardaan 
bhatak rahe hain hum agyani saraswati de vidyadaan

bhagwati teri daya drishti se bhumi swarg yeh ban jaaye 
sakal vishwa jo aaj hai bikhara tu chahe to ek ho jaaye 
prem jog sab jag mein jagaye aisa humara ho abhiyaan 
bhatak rahen hain hum ....

tu chahe to shool yeh daman ban jaaye pushp madhuban
tere pawan charan pade to yeh dharti ban jaaye kundan 
maata humare nirthak shabdon ko de arthon ka aayaam  
bhatak rahe hain ...






Share:

No comments:

Post a Comment