Golden Collection Hari Om Sharan Vol 3







Golden Collection Hari Om Sharan Vol 3




Govind ke gun ga le


Lyrics -

Govind ke gun ga le re o bhole prani
man mein raam rama le re o bhole prani

jeevan ka har pal yun jaaye
nikali swans nahi phir aaye
prabhu ko sheesh jhuka le re o bhole prani

is jag mein sab beh jata hai
prabhu ka hi sab rah jata hai
prem ki jyot jala le re o bhole prani

hari narayana sumiran karle
hoke sharan bhavsagar tar le
bhule man ko mana le re o bhole prani  


jai bhola bhandari


Lyrics -

jaya bhola bhandari shivhar
jai kailash pati shivshankar sab jag ke hitkari

nis din tera dhyan karen hum simre mantra tumhara
hey shiv shankar mantra jagao hove ghat ujiyara
namami shankar namami shankar kripa karo tripurari

shankh naad se shabd jaga kar swar sangeet banaya
yug yug se ye shrishti naache aisa damaru bajaya
teri yaad bhula ke jag mein dukh paave sansaari

teeno taap haran kar deta yeh trishul tumhara
tera naam jape se jag mein milta mukti dwara
mahadev parbrahma vidhata aayen sharan tihari

jiske sir par hanth ho tera


Lyrics -

Jiske sir par haanth ho tera woh kaise dukh paaye
atal bharosa ko tera jag bairi ho jaaye

teri raza mein razi hokar har kaaraj woh karta
jo tu deta khush hokar woh apne aanchal bharta
uthe sabere dhyan mein teri rain bhyi so jaaye

hoke sharan tumhari rehta man ki chinta tyagi
teri kripa prasadi pake man ab hua vairagi
moh maya ke bandhan toote
vandan tera gaaye
saanson ki mala par jaape nirmal naam tihara
bhav saagar ki lehar lehar pe ab tuhi sahara
sharan pade ki rakhsa karne tune haath badhaye


lele tera naam hari jeevan beet ajaye


Lyrics -

le le tera naam hari jeevan bita jaaye 
sukh de chahe dukh de chahe sabko gale 
dor hai tere haath mein bhagwan tu sab karne wala 
tu jo chahe ho ga wohi kya hai jor humara
hum hain tere khilone chahe jahan nachaye 
chahe rank bana de humko bhiksha ko tarsa de
raajmahal singhasana de de angin sukh barsa de 
tere diye roop pehan kar apna dharam nibhaaye 
man mein bhaav jage seva ka nirmal karam ho mera 
prem preeti se is jeevan ka beete sham savera 
sharan tihari ho ke jag mein jeevan sukhi bannaye

prabhu humpe kripa


Lyrics -

Prabhu hum pe kripa karna, Prabhu hum pe daya karna.
Baikunth to yahi hai. Hirday mein raha karna.

Goonjenge raag bankar, veena ki taar banke.
Pragatoge Nath mere, hriday mein Pyar banke.
Har ragini ki dhun par, Swar bankar utha karna.

Nachenge mor bankar, hey Shyam Tere dware.
Ghanshyam chhaye rahna, bankar ke megh kaare.
Amrit ki dhar bankar, pyaason pe daya karna.

Tere viyog mein hum, din raat hain udasi.
Apni sharan mein le lo, hey Nath Braj ke waasi.
Tum so hum shabd bankar, prano mein rama karna.

ram ji ke naam ne to


Lyrics -

Ram ji ke naam ne to pathar bhi taaren
jo na japen ram woh hain kismat ke maare

ram ji ke naam ko shiv ji ne dhyaya 
tulsi ne ram ji pe sarvas lutaya
kabira bhajan kar bhaye matware 
ram naam amrit hai ram naam chandan
ram naam dev jape sant karen vandan
mahavir ram naam hirdaya mein dharen
ram ram ram japo ram hi dhiyayo
ram naam prem jyot ghar ghar jagaao
unhi ki sharan aa pal na gavaayen

sai teri yaad


Lyrics -

Sai teri yaad maha sukhdai
Ek tuhi rakhwala jag mein,tuhi sada sahai .
Tujhko bhula jag dukhiyara , sumiran bin man mein andhiyara 
Hoon charnan sharanaai ..
Sanchi preet tihari data , tere bin sab jhuta nata 
Tune kripa barasai …

tere naam ka sumiran kar ke

Listen to tere naam ka sumiran kar ke

Lyrics -

tere naam ka sumiran kar ke mere man mein sukh bhar aaya 
teri daya ko maine paaya teri kripa ko maine paaya

duniya ki thokar khakar jab hua kabhi besahara 
na paakar apna koi jab maine tujhe pukara 
hey nath mere sir upar tune amrit barsaya 
teri kripa ko maine paya

 Tu sang mein tha nit mere, yeh naina dekh na paaye.
Chanchal maya ke rang mein yeh naina rahe uljhaye.
Jitni bhi baar gira hoon, tune pal-pal mujhe uthaya.
teri kripa ko maine paaya

Bhav-saagar ki leharon mein bhatkai meri naiya.
Tat chhuna bhi mushkil tha nahin dikhe koi khiwaiya
tune lehar ka roop pehankar meri naav kinare lagaya
Teri kripa ko maine paya  teri daya ko maine paya. 

Har taraf tumhi ho mere  har taraf tera ujiyara.
Nirlap ramaiya mere  har roop tumhi ne dhara.
Teri sharan mein aake data  maine jeevan apna sanwara

Teri kripa ko maine paya, teri daya ko maine paya.



Lyrics -

vinay meri sun lijiye hey prabhu jagadadhar 
aaradhan nis din karoon kar lena sweekaar 


Share:

Golden collection Hari Om Sharan vol 4





Golden collection Hari Om Sharan vol 4


Aaradhey man shyam radhey


Lyrics -

Aaradhey man shyam radhey 
hari shyam radhey 
shyam radhey hari shyam radhey 

amritmaya hari naam tihara 
deenan ka hari yehi sahara 
nis din sumire radhey radhey 

mohan ki murli baje 
pranan mein yehi naam viraje 
din din bhagati aagadhe 

radha bhakti shyam milave 
aaradhan radha ban jaave 
unki sharan ho dhyan sadhe 

Ab na bani to

Listen to ab na bani to


lyrics-

Ab na bani to phir na banegi
Nar tan baar baar nahi milta

Heera sa janam kyun birtha gawayo
Na satsang kiyo hari gun gaayo
JAnani teri tujhe phir na janegi
Nar tan baar baar nahi milta

Tere jawani bharma bhulani
Guru pita maat ki baat na mani
Naiya kaho kaise paar lagegi
Nar tan baar baar nahi milta

Oh prani teri kaya mati
Dharni sirat hai patang kyu kati
mati mein mati mil ke rahegi
Nar tan baar baar nahi milta

Govind jai jai

Listen to Govind jai jai

Lyrics - 

Govind jai jai gopal jai jai 
radha ram hari govind jai jai 

brahma ki jai jai vishnu ki jai jai 
umapati shiv shankar ki jai jai 

radha ki jai jai rukmini ki jai jai 
mor mukut bansi wale ki jai jai 

ganga ki jai jai yamuna ki jai jai 
saraswati triveni ki jai jai 

ram ki jai jai shyam ki jai jai 
dashrath kunwar charon bhaiyon ki jai jai 

krishna ki jai jai laxmi ki jai jaia 
krishna baldev dono bhaiyon ki jai jai 

Jai jai hanuman gosai

Listen to jai jai jai Hanuman gosai


Lyrics -

Begi haro hanuman mahaprabhu jo kachhu sankat hoye hamaro  
Kaun So Sankat Mor Garib Ko, Jo Tumso Nahi Jat Hai Taro


Jai Jai Jai Hanuman Gosai 
Kripa Karo Maharaj

Tan Mein Tumhare Shakti Viraje 
Man Bhakti Se Bhina
Jo Jan Tumhari Sharan Me Aaye, 
Dukh Darad Har leena
Hanumat  Dukh Darad Har leena  
Mahavir Prabhu Hum Dukhiyana Ke
Tum Ho Garib Nivaz  Hanumat 
Jai Jai Jai Hanuman Gosai 
Kripa Karo Maharaj  


Rama Lakhana Vaidehi Tum Par

 Sada Rahe HarshayeHriday Cheerke Saare Jag Ko
 Rama Siya Darshaye
Do Kar Jod Araj Hanumanta

 Kahiyo Prabhu se Aaj HanumatJai Jai Jai Hanuman Gosai 
Kripa Karo Maharaj


Ram Bhajan Ke Tum Rasiya
Hanumant Mangal Kari 
Har Din Vandan Karte Tera 

Duniya Ke Nar Naari
Hanumat Duniya Ke Nar Naari 
Ram Naam Jap Ke Hanumanta
Bane Bhaktan Sartaaj
Hanumat, Bane Bhaktan Sartaaj 
Jai Jai Jai Hanuman Gosai 
Kripa Karo Maharaj




Shree radhey govinda

Listen to shree radhey govinda

Lyrics -

shree radhey govinda, man bhaj le hari ka pyara naam hai 
gopala hari ka pyara naam hai, nandlala hari ka pyara naam hai 

mor mukut sir dalban mala kesar tilak lagayre 
vrindaban ki kunj galin mein sabko naach nachaye 

giridhar nagar kehti meera sur ko shyamal bhaya 
tukaram aur naam dev ne vitthal vitthal gaya 

narsi ne kartaal baja ke sanwariya ko rijhaya 
shabari apne hanthon se prabhu ko ber khilaya 

radha shakti bina na koi shyamal darshan paaye 
aaradhan kar radhey radhey kanha bhage aaye 

simran ka ras jisko aaya wo hi jaane man mein
nirakaar sakaar hot re bhagaton ke aangan mein 

shyam salona kunj bihari natwar leela dhari 
antarwasi hare  avinasi lage sharan tihari 

Man maila aur tan ko dhoye


Man maila aur tan ko dhoye
phool ko chahe kante boye

kare dikhava bhakti ka tu ujli odhe chadariya
bhitar se man saaf kiya na bahar manje gagariya
parmeshwar nit dwar pe aaya tu bhola raha soye

kabhi na man mandir mein tune prem ki jyot jalayi
sukh paane tu dar dar bhatke janam hua dukhdayi
ab bhi naam sumir le hari ka janam vritha kyu khoye

swanson  ka anmol khajana din din lutata jaye
moti lene aaya tat pe seep se man behlaaye
saancha sukh to paye sharan prabhu ki hoye

Mukund madhav govind

Lyrics-

Mukund Maadhava Govind bol
Keshava Maadhava Hari Hari bol
Ram ram bol krishna krishna bol .

Na yeh tera

Listen to na yeh tera na yeh mera 

Lyrics -

Na ye tera na ye mera mandir hai bhagwan ka 
paani uska bhumi usi ki, sab kuchh usi mahan ka 

hum sab khel khilone uske khel raha kartaar re 
uski jyoti sab mein damke sab mein uska pyar re 
man mandir mein darshan kar le un pranon ke pran ka 
pani uka bhumi usi ki ..

teerath jaaye mandir jaaye angin roop manaye re 
deen roop mein ram samne dekh ke nayan phiraye re
man ki aankhen khul jayen to kya krna hume gyan ka 
pani uska bhumi usi ki ..

kaun hai uncha kaun hai neecha sab hain ek saman re 
prem ki jyot jaga hirdaya mein sab mein prabhu pehchan re 
saral hridaya ko sharan mein rakhe hari bhole nadaan ka 
pani uska bhumi usi ki ....

Nis din namoon ganapati


Nis din namoon ganapati charan
ganapati charan jag dukh haran

santaap sab man ke haren
mangal sada ganapati karen

man kar raha pratah smaran

baL BUDDHI KE TUM DEVATA
BHAR BHAKTI HIDAYA SEVATA
SHANKAR SUVAN TAARAN TARAN

TUMHARI KRIPA BEANT HAI
DENON PE TU DAYAVANT HAI


HUM AA GAYEN TERI SHARAN 

Tera ram ji karenge beda paar



lyrics-

Tera Ram ji karenge beda paar
udasi man kahe ko dare

Naiya teri ram hawale
Lehar Lehar Hari aap sambhale
Hari aap hi uthave tera bhar
udasi man kahe ko dare

Kabu mein majhdhar usi ke
Hanthon mein patwaar usi ke
Teri haar bhi rahi hai teri baat
udsi man kahe ko dare

Sahaj kinara mil jaayega
Param sahara mil jaayega
Dori saup ke tu dekh le ek baar
Udasi man kahe ko dare



Share:

Mushikavahana








Share:

The meaning within the word HANUMAN





If we want to cultivate divine qualities, then we must take refuge in Hanuman ji. The meaning of the four letters in the word Hanuman, i.e. Ha, nu, ma and na. 




1. Ha – stand for the affirmative attitude towards life i.e. being positive 

2. Nu – here is taken from ‘nuksan’ i.e. harm one should not harm anybody. 

3. Ma – taken from ‘maan’ i.e. pride. What more pride than getting the human form in this very birth. 

4. Na – stand for namrata i.e. humility, being humble. 

Thus, a person who is humble, who is not looking for recognition and does not think ill of anybody and always has a positive outlook will find in himself the cultivation of divine qualities.




Jai Sri Ram


Share: