Pages

Pages

Deendayal gopal hari

D

Deendayal gopal hari  


Lyrics -

Deen dayal gopal hari 

vrindavan mohi bula to sahi 
ro ro raj charan pakhar karoon
prem prasad jaga to sahi 

toye chhod ke kiski aas karun 

teri nagari mein nitya niwas karoon 
din raat yehi ardaas karoon 
teri bansi ki dhun suna do sahi 

vraj ki buhari mein birah karoon  

teri sewa pooja kiya hi karoon 
tere dho dho charan piya hi karoon 
meri naav ko paar laga to sahi 

viraha bas nayan kuchaye rahe 

ro ro ke samudra bahaye rahe 
bina aye rahe akulaye rahe 
mere dukh ko kaaran mita to sahi 

tere daras kaaran main pyasa 

surdas bahut hi aasha hoon 
mere aas ki pyas bujha to sahi 
mera jeevan maran chhuta to sahi


Deenanath ab bari tumhari


Lyrics-

Deenanath ab bari tumhari
Patit udharan deen jani ke bigadi dehu sanwari
Balapan khelat hi khoya yauvan visaya ras gholi
Vridhha bhayo sudhi pragati moko
Dukhit pukarat tohi
Nari tajyo sut tajyo bhai tajyo
Tan ki twacha bhayi nyari
sravanan na sunat charan gati thaki
Nain bhaye jaldhari
ab ye vyatha door karne ko
aur na samrath koi
surdas prabhu karuna sagar
tumse hoi so hoi


Deenan dukh haran dev


Lyrics-

deenan dukh haran dev santan hitkari
ajamil geedh byadh inme kah kaun saadh
panchhi ko pad padhaat ganika si taari
dhruva ke sar chhatra det prahalad ko ubari det
bhakta hetu bandhyo setu lankpuri jaayi
gaj ko jab grah grasyo
duhshashan cheer khasyo
sabha beech krishna krishna draupati pukari
itne hari aaye gaye basnan aaroorh bhaye
surdas dware khado aanadhro bhikhari

Find meaning of the song -

The Lord who removes the pain of the poor and is well doer of the saints
Azamil , the vulture , the hunter ,, say who was perfect among them ,
Who gave a higher destination to a bird and made the Ganika (a man who lives with a prostitute. -here Azamil )to move accross this bhavasagar...
Who versed Druva's head with canopy, and saved Prahalad
For the sake of devotee who constructed the bridge by going to Lanka puri .
When the alligator grabbed the Gajraj (the elephant) in his jaws ...who came to save him ..
When Duhshashan unwinded the clothes (of Draupadi) ,
Draupadi called up "Krihsna Krishna " in the Hall ..
Just then ,( you) Hari reached there and adjointed Himself in the clothes .
Surdas , a blind begger , is standing on Your doorsteps -
When You can do so much and show your grace upon these people ,
Please be kind towards me too .

Dayanidhi teri gati lakhi na pare

dayanidhi teri gati lakhi na pare
dhram adharma, adharma dharm kari akaran karan kare
jaya aru vijaya paap kah kinobrahman saap divayo
asurjoni dini ta upar dharam uchheh karayo
pita vachan chhande so papi so prahalade kinho
tinke het khamb te pragate narhari roop jo linho
dwij kulaptit azamil vishayi ganika preeti badhayi
sut hit naam narayan linho tihi tuv padwi paayi
jagya karat bairochan ko sut bed bihit bidhi karma
tihi hat bandhi patalahi dinhokaun kripanidhi dharm
patibarta jalandhr jubati pragati satya te tari
adham punsachali dusht gram ki sua padhavat tari
dani dharm bhanusut suniyat tum te vimukh kahave
ved viruddh sakal paandav sut so tumhare jiya bhaven
mukti hetu jogi bahu shram kare asur birodhe paave
akathit kathit tumhari mahima surdas kah gaave


No comments:

Post a Comment