Pages

Pages

PRADEEP BHAJANS

Pradeep Bhajans 


1.Pinjre Ke Panchhi Re Tera Dard Na Jane Koi 




Lyrics- 


Pinjare ke panchhi re 
tera darad na jaane koi 
bahar se to kamosh rahe tu 
bhitar bhitar roye re 

keh na sake tu apni apni kahani 
teri bhi panchhi kya zindagani re 
vidhi ne katha likhi  
aansu mein kalam duboye

chpuke chupke rone wale 
rakhna chhupa ke dil ke chhale re 
yeh patthar ka des hai pagle 
koi na tera hoye 

2. Koi Laakh Kare Chaturai 


Lyrics -

Koi lakh kare chaturayi karam ka lekh mite na re bhai 
zara samjho re iski sacchayi re 

is duniya mein bhagya ke aage chale na kisi ka upaaye 
kagad ho to sab koyi banche karam na bancha jaaye 
ek din isi kismat ke kaaran ban ko gayen thein raghurai re

Kahen manwa dheeraj khota kahen tu nahat roye 
apna socha kabhi nahi hota bhagya kare so hoye 
chahe ho raja chahe bhikari thokar sabhi ne yahan khayi 

3. Toot Gai Hai Mala Moti Bikhar Chale 


Lyrics-


toot gayi hai mala moti bikhar chale 
do din rah ke saath jaane kidhar chale 

milan ki duniya chhod chalen ye aaj birah mein apne 
khoye khoye naino mein hai ujade ujade sapne 
yaad ki gathari liye jhukaye nazar chale 
do din reh ke saath ...

ab to jag mein jiyenge aansu pite pite 
jaisi inpe beeti waisi aur kisi pe na beete
koi mat puchho inse ki yeh kis dagar chale 
do din reh ke saath .....

4. Mukhda Dekh Le Prani 


Lyrics -

Mukhada dekh le prani zara darpan mein 
dekh le kitna punya hai kitna paap tere jeevan mein 

kabhi to pal bhar soch le prani kya hai teri karam kahani 
pata laga le pade hai kitne daag tere daaman mein

khud ko dhokha de mat bande achhe na hot kapat ke dhandhe 
sada na chalta kisi ka naatak duniya ke aangan mein  



5. Kabhi Dhoop To Kabhi Chhaon


Lyrics -

Sukh dukh dono rehte jisme jeevan hai woh gaon
kabhi dhoop to kabhi chhaon 
upar wala paasa pheke niche chalte daaon
kabhi dhoop kabhi chaaon  

bhale bhi din aate jagat mein bure bhi din aate 
karve mithe phal karam ke yahan sabhi paate 
kabhi sidhe kabhi ulte padte ajab samaya ke paanv

kya khushiyan kya gham yeh sab milte bari bari 
malik ki marzi pe chalti yeh duniya saari 
dhyan se khena jag nadiya mein bande apni naav 

6. Dekh Tere Sansar Ki Haalat Kya Ho Gayi Bhagwan 


Lyrics -

dekh tere sansaar ki haalat kya ho gayi bhagwaan 
kitna badal gaya insaan 
suraj na badla chand na badla na badla re aasmaan
 kitna badal gaya insaan 

aaya samaya bedhanga aaj aadmi bana lafanga 
kahin pe jhagda kahin pe danga naach raha nar ho kar nanga
chhal aur kapat ke haanthon apna bech raha imaan 

ram ke bhakt rahim ke bande rachate aaj phareb ke dhandhe 
kitne yeh makkar yeh andhe dekh liyen inke bhi dhandhe 
inhi ki kaali kartuton se hua yeh mulk masaan 

jo hum aapas mein na jhagadte bane huye kyu khel bigadte 
kahe lakhon ghar ye ujadate kyun yeh bachhe ma se bichhadate 
phoot phoot ke kyun rote pyare bapu ke pran 
kitna badal gaya insaan...

7. Jai Santoshi Maa


Lyrics -

yahan wahan jahan tahan 
mat puchho kahan kahan hai santoshi ma 
apni santoshi maa 


is devi ki daya ka humne adbhut phal dekha 
pal mein palat deti bhakton ki bigadi bhagya rekha 
badi balshali mamta wali jyoti punj yeh maa

yeh maiya to bhav ki bhukhi  bhakti se bhave 
prem purvak jo koi puje manwanchhit paave 
mangal karni chintaharni dukh bhanjan yeh maa 

8. Tere Dwar Khada Bhagwan 


Lyrics -

Tere dware khada bhagwaan 
bhagat bhar de re jholi 
tera hoga bada kalyaan 
ki jug jug teri rahegi shaan 
bhagat bhar de re jholi 


dol  uthi hai sari dharti dekh re dola gagan hai saara 
bhikh maangane aaya hai tere ghar jagat ka paalanhaara re
main aaj tera mehmaan kar le re mujhse zara pehchaan 
bhagat bhar de re jholi

aaj luta de tu sarbas apna maan le kehna mera
mit jayega pal  mein tera janam janam ka phera 
tu chhod sakal abhimaan amar kar le re tu apna daan 
bhagat bhar de re jholi 

9. Bachane Wala Hai Bhagwan


Shraddha rakho jagat ke logon apne deenanath pe 
labh hani jeevan aur mrityu sab kuchh uske haanth mein 

marne wala hai bhagwaan bachane wala hai bhagwaan 
bal bhi baanka na hota uska jiska rakshak daya nidhan 


tyag do re bhai phal ki asha swarth bina preet jodo 
kal kya hoga uski chinta jagatpita par chhodo 
kya honi hai kya anhoni sabka usko gyan


jal thal agan aakaash pawan par kewal uski satta 
uski marji ke bina hil na  sake ek patta 
usi ka socha yahan pe hota uski shakti mahan 



10. Aaj Ke Is Insan Ko 

Listen to aaj ke is insaan ko kya ho gaya


Lyrics -


aaj ke is insaan ko yah kya ho gaya 

iska purana pyar kahan par kho gaya 
kaisi yeh manhoos ghadi hai
bhaiyon mein jang chhidi hai 
kahin par khoon kahin par jwala
jane kya hai hone wala 
sabka matha aaj jhuka hai 
azadi ka jooloos ruka hai 
charon ore daga hi daga hai 
har chhure par khoon laga hai 
aaj dukhi hai janta sari
rote hain lakon nar nari
 rote hain aangan galiyare 
rote aaj muhalle sare 
roti salma roti hai sita
rote hai kuran aur gita 
aaj himalaya chillata hai
kahan purana woh nata hai 
das liya saare desh ko zahari naagon ne   
ghar ko laga di aag ghar ke chiragon ne 
apna desh woh desh tha bhai 
lakhon baar musibat aayi 
insaanon ne jaan ganwayi
par behno ki laaj bachayi 
lekin ab woh baat kahan hai 
ab to kewal ghat yahan hai 
chal rahin hai ulti hawayen 
kaanp rahi thar thar ablayen 
aaj har ek aanchal ko khatra
aaj har ek ghoonghat ko khatra
khatare mein hai laaj behan ki 
khatare mein chudiyan dulhan ki
darti hai har paaon ki paayal 
aaj kahin ho na jaaye na ghayal 
aaj salamat koi na ghar hai 
sabko lut jaane ka dar hai 
humne apne watan ko dekha
 aadmi ke patan ko dekha 
aaj to behno par bhi hamla hota hai 
door kisi kone mein majhab rota hai 
kiske sir ilzam dharen hum
aaj kahan phariyaad karen hum
karte hain jo aaj ladayi   
sabke sab hain apne hi bhai 
sab ke sab  hain yahan apradhi 
haye mohabbat sab ne bhula di
aaj bahi jo khoon ki dhara 
doshi uska samaj hai sara
suno zara o sunane walon 
asman par nazar ghuma lo 
ek gagan mein karoron tare 
rehte hain hil mil ke saare 
kabhi na woh aapas mein ladte
kabhi na dekha unko jhagadte
kabhi nahi woh chhure chalate  
nahin kisi ka khoon bahate 
lekin is insaan ko dekho 
dharti ke santaan ko dekho
kitna hai yeh haye kamina
isne lakhon ka sukh chhena 
ki hai isne jo aaj tabahi 
denge uski yeh mukhade gawahi  
aapas ki dushmani ka yeh anjaam hua 
duniya hasne lagi desh badnaam hua 
kaisa yeh khatare ka pahar hai 
aaj hawaon mein bhi zahar hai
kahin bhi dekho baat yahi hai 
haye bhayanak raat yahi hai
maut ke saaye mein har ghar hai 
kab kya hoga kise khabar 
band han khidaki band hai dwaren 
bathe hain sab dar ke mare 
kya hoge in becharo ka 
kya hoga in laacharon ka 
inka sab kuchh kho sakta hai 
inpe hamla ho sakta hai 
koi rakshak nazar na aata 
soya hai aakash pe data 
yeh kya haal hua apne sansaar ka
nikal raha hai aaj janaza pyar ka  

11. Aao Bachchon Tumhein Dikhayen 

Listen to aao bachon tume dikhayen

Lyrics -

Aao Bachchon Tumhen Dikhaayen Jhaanki Hindustaan Ki 
Is Mitti Se Tilak Karo Ye Dharati Hai Balidaan Ki 
Vande Maataram, Vande Maataram... 

Uttar Mein Rakhavaali Karata Parvataraaj Viraat Hai 
Dakshin Men Charanon Ko Dhota Saagar Ka Samraat Hai 
Jamuna Ji Ke Tat Ko Dekho, Ganga Ka Ye Ghaat Hai 
Baat-Baat Pe Haat-Haat Men Yahaan Niraala Thaath Hai 
Dekho Ye Tasveeren Apane, Gaurav Ki Abhimaan Ki, 
Is Mitti Se Tilak Karo Ye Dharati Hai Balidaan Ki 
Vande Maataram, Vande Maataram... 


Ye Hai Apana Raajapootaana, Naaz Ise Talavaaron Pe
Isane Saara Jeevan Kaata, Barachhi, Teer, Kataaron Pe, 
Ye Prataap Ka Vatan Pala Hai, Aazaadi Ke Naaron Pe
Kood Padi Thi Yahaan, Hazaaron Padminiyaan Angaaron Pe 
Bol Rahi Hai Kan Kan Se Qurabaani Raajasthaan Ki
Is Mitti Se Tilak Karo Ye Dharati Hai Balidaan Ki 
Vande Maataram, Vande Maataram... 

Dekho Mulk Maraathon Ka Ye, Yahaan Shivaaji Dola Tha 
Mugalon Ki Taakat Ko Jisane, Talavaaron Pe Tola Tha 
Har Paavat Pe Aag Lagi Thi, Har Patthar Ek Shola Tha
Boli Har-Har Mahaadev Ki, Bachchaa-Bachcha Bola Tha 
Yahaan Shivaaji Ne Rakhi Thi, Laaj Hamaari Shaan Ki 
Is Mitti Se Tilak Karo Ye Dharati Hai Balidaan Ki 
Vande Maataram, Vande Maataram... 

Jaliyaan Vaala Baag Ye Dekho Yahaan Chali Thi Goliyaan 
Ye Mat Poochho Kis Ne Kheli, Yahaan Khoon Ki Holiyaan 
Ek Taraf Bandooken Dan Dan, Ek Taraf Thi Toliyaan 
Maranevaale Bol Rahe The, Inaqalaab Ki Boliyaan 
Yahaan Laga Di Behanon Ne Bhi, Baazi Apani Jaan Ki 
Is Mitti Se Tilak Karo Ye Dharati Hai Balidaan Ki 
Vande Maataram, Vande Maataram... 

Ye Dekho Bangaal Yahaan Ka, Har Chappa Hariyaala Hai 
Yahaan Ka Bachchaa-Bachcha Apane Desh Pe Maranevaala Hai 
Dhaala Hai Is Ko Bijali Ne, Bhoonchaalon Ne Paala Hai 
Mutthi Men Toofaan Bandha Hai, Aur Praan Men Jvaala Hai 
Janm-Bhoomi Hai Yahi Hamaare Veer Subhaash Mahaan Ki 
Is Mitti Se Tilak Karo Ye Dharati Hai Balidaan Ki 
Vande Maataram, Vande Maataram...



12. Doosron Ka Dukhra Door Karne Wale 

Listen to doosaron ka dukhada

Lyrics -

Doosaron ka dukhada door karne wale 
tere dukh door karenge ram 
kiye ja tu jag mein bhalayi ka kaam 
tere dukh door karenge ram 

kat-ta hai path yeh dharma ka marag sambhal ke chalna prani 
 pag pag pare hai  yahan re to tote  kadam kadam par kurbani 
magar tu danwadol na hona teri sab peer harenge ram 
doosaron ka dukhada ....

kya tune paaya kya tune khoya kya tera labh hai kya haani 
iska hisab karega wo ishwar tu kyu phikar kare prani 
tu bas apna kaam kiye ja tera bhandaar bharenge ram
doosaron ka dukhada ....

ponchh le tu apne aansu tamam tere dukh door karenge ram 

13. Humne Jag Ki Ajab Tasveer Dekhi 

Listen to humne jag ki ajab tasveer dekhi

Lyrics-

Humne jag ki ajab tasveer dekhi 
ek hasta hai dus rote hain
yeh prabhu ki adbhut zageer dekhi 
ek hasta hai dus rote hain

hume haste mukhade char mile 
dukhiyare chehre hazar mile 
yahan sukh se sau guni peer dekhi 

do ek sukhi yahan lakhon mein 
aansu hain karoron aankhon mein 
humne gin gin har taqdeer dekhi 

kuchh bol prabhu yeh kya maaya 
tera bhed samajh mein na aaya 
humne dekhe mahal re kutir dekhi 

No comments:

Post a Comment