Radhe radhe,
jaisa ki meine apni last post maha raas leela post- part1 mein bataya, jaha shri krishna ne gopiyon ko maha raas ke liye apni bansuri se bulaya tha.
is leela se judi hui ek aur kahani shri mad bhagwat mein aati hai:
ye kahani aati hai kaamdev ki.
kaamdev ke mann mein abhimaan aa gaya ki wo hi is srishti ka sabse bada dev hai.
naarad ji ne kaamdev ka abhimaan choor karne ke liye kaamdev se kaha - srishti ka sabse bada dev banne se pehle vrindavan ke ek gop-kumar se to 2-2 haath kar aao...:)
ab devarshi naarad ki baat kaamdev ko chubh gayi, usmein abhimaan jaag gaya ki ek gop kumar mujhe kya harayega.
kaamdev ne shri krishna ko gokul mein jaakar lalkaar diya aur bole aap sharad purnima ki raatri ko braj ki yuvtiyo(ladkiyon) ke saath vihaar kare, us samay mein aap par apne baan chalaunga.
yadi us samay aap nirvikaar(vikaar rahit) rahenge, tabhi mein aapko ishwar maanunga.
bhagwaan shri krishna ne kaamdev ki ye chunauti sweekar kar li.
kaamdev ki haar to nishchit hi thi.
kyunki bhagwaan mein vikaar nahin aa sakta, kyunki jab sooraj devta ki kiran sab yuvtiyon ko chhuti hai, aur unmein vikaar nahi aata, to bhala shri krishna mein vikaar kaise aa sakta hai.
jab sharad purnima ki raatri aayi, tab shri krishna ne gopiyon ke saath maha raas leela ki.
tab kaamdev ne shri krishna par suman baan chalaya, parantu shri krishna nirvikaar hi rahe.
aage ki leela ka varnan aise hai: raas leela.
No comments:
Post a Comment