Pages

Pages

Bhajans by Pandit Bhimsen Joshi

Bhajans by Pandit Bhimsen Joshi


Chaturbhuj jhoolat

Chaturbhuj jhoolat shyam hindore
Kanchan khamb lage mani manik
Resham ki rang dor

Umadi ghumadi ghan barsat chahu disi
Nadiya let hilore
Hari hari bhoomi lata laptani
Bole koyel more

Bajat veena pakhavaj bansi
Daan hot chahu ore
Jam suta chhavi nirakhi anokhi
Vaad gram hilore

Madukar shyam


Lyrics -

Madhukar shyam humare chor
Man har liyo madhuri murat
Nirakh nayan ki kor

Pakarehu te aan ur antar
Prem preeti ke jor
Gaye chudaya tor sab bandhan
Dayi gaye hasan akor

Uchak paro jagat nisi bite
Tare ginat bhayi bhor
Surdas prabhu hato man mero
Barbas le gayo nand kishore

Chalo ri Murali


Lyrics -

Chalo ri murali suniye
Kanha bajaari yamuna teere

Taji lok laaj kul ki
Vaani gurujan ki bhi

Yamuna jal thakit bhayo
Bachha na pive ksheer
Sur viman thakit bhaye
Thakit kokil geet

Deh ki sud bisari gayi
Bisaro tan ko peer
Maat tat bisari gayen
bisare balak piya

Murali dhuni madhur baje
Kaise ke dahre dheer
Surdas madan mohan
Janat haun par peer

Sun surat rangili


Ram Ram Ram bhajo


Ram Ram Ram bhajo bhai
Ram bhajan bin janam sada dukhdayi

Ati durlabh manuj deh sahaj dine kaya
Murakh rahe Ram bhool vishyan man layi

Balak pan dukh anek bhogat deen bisari
Shree sukh dhan ki apar chinta dhar layi

Ram naam japat trividh taap jag nasayi
Ram naam vandan karan sab vidhi sukhkari

Prem magan man se sakal kaamana bihayi
Jo lije pat Raam naam soyi mile kirpayi


Shree ram kahe samjhayi


Shree Ram kahe samjhayi
Sun lakhsman pyare bhai

Banwas pita ne dinha
Maine vachan sheesh dhar linha
Sang janak suta sukhdayi

Nahi dosh kaikayi mata
Yeh likhiya lekh vidhata ji
Mere man mana mein shok kachhu nahi

Sukh dukh sab daiva adheena
Nahi koi kisis ka kinha ji
Jag murakh jana bharmayi

Yah karam gati balwana
Bhag binhu yah nahi ji
Brahmanand na man ghabarayi

sadho ram anupam baani


Sadho Ram anupam baani
Pura mila to wah pada paya
Mit gayi checha tani

Mool chap sir aasan baihtha
dhyan dhani se laya
Ulta nadak bal ke marag
Gagana mahi samaya

Guru ke shabd ki punji sekhi
Anant kothari kholi
Bhru ke lok pe kalash viraje
Omkar dhun boli

Jan kari yaad prem guna gaya
Wah mera alak jagaya
Meru dand ho naal chali
Kamal paad jahan paaya

Prabhu kar sab dukh door humare


Prabhu kar sab dukh door humare
Sharan pade hum das tumhare

Sakal jagat tumne upjaya
Tum hi ho prati palanhare

Sakal vyapak antaryaami
Dhyavat sur nar muni jan sare

Naam tumharo sab sukhdayak
Sakal dosh bhaya paap niware

Satchidanand roop tumharo
Brahmanand sada man dhyaye

jo bhaje hari ko sada

Listen to jo bhaje hari ko sada

Lyrics -

jo bhaje hari ko sada
soyi param pad paayega
deh ke mala tilak aur
haath nahi kuch kaam denge
prem bhakti ke bina nahi
nath ke man bhayega

dil ke darpan ko safa kar
door kar abhiman ko
khak ho guru ke kadam ki
to prabhu mil jayega

chodd duniya ke maje sab
baith kar ekant mein
dhyan dhar hari ka charan ka
phir janam nahi aayega

dridh barosa man mein karke
jo jape hari naam ko
kehta hai Brahmanand
bheetar payega


krishna krishna kahiye uthi bhor

Listen to krishna krishna kahiye uthi bhor

Lyrics -

Krishna krishna kahiye uthi bhor
bhor kiran ke saath krishna kah
van mein nache mor

pakshi ke kalrav mein vandan
vandan lehrein karti
vandan karti bahe sameerein behti
gaayen hain pag bhartin
krishna krishna kah putra jaga ke mata hoye vibhore

gun gun kar ke krishna krishna kahe
bhanware dol rahe hain
krishna krishna kah kamal pushpa sab
pankhudi khol rahe hain
vandan ki abha faili hain
dekho charon ore

phool toot ke dhara pe bikhare
isi bhanti hai vandan
doob ke mukh par os padi hai
mahak utha hai chandan
koyal kook ke vandan karti
hans kare kilore .

prabhu ke charnaarvind mein

Listen to prabhu ke charnaarvind mein

Lyrics -

Prabhu ke charnaarvind mein
prani charnaaraj hum ho jaaye

paapon ka shodhan kar bande
parmanand ko hum paayen

shree ram to param tatva hain
param dhaam ati paavan hai
sada sanatan aadi dev hain
bhakti yog man bhaavan hain
dhyan karen hum shree ram ka
tanmaya na hoke gun gayen

janam maran ke bhaya se prani
mukt karen hum bhitar apna
sabhi saadhana puran hogi
shree ram ko hi japana
sumiran kar ke shree ram ka
sheetal man hum apnaayen

valmiki muni rushi dev bhi anek
tran sada karte
shree ram ke shree charan mein
sheesh narayana hain dharte
shree ram hi param brahma hain
amar jyoti hum phailayen


Ram kahiye ram japiye

Listen to Ram kahiye ram japiye

Lyrics -

Shree Ram...
Ram kahiye ram japiye
saans ke hi pravesh mein
chir nirantar man rama le
ram ke parivesh mein

punya hi aadhar hai woh
tej hai rakesh hai
kanj hai woh kant hai woh
aadya hai woh nimesh mein

prat japiye sanjh japiye
prem mein aur dwesh mein
desh mein pardesh mein
va kahu rahiye bhesh mein

bhog bhaya udveg chanchal
malin ya aavesh mein
ram mukh se boliye
shree ram hain akhilesh mein

netra mein adharon mein rakhiye
aur japiye bhed mein
jap rahe ehin vadantim
pran vandan bhet mein


Ram Bhajan Kar Man


Raam hain swanaam dhanya
ram dhanya ram ram ko prnaam
ram naam ko pranaam
ram bhajan kar man
o man re kar tu ram bhajan
sab mein ram ram mein hain sab
tulsi ke prabhu nanak ke rab
ram ramaiya ghat ghat vasi
satya kabir bachan
ram naam mein paavak paawan
ravi tejomaya chandra sudhadhar
ram bhajan bin jyoti na jaage
jaaye na jee ki jaran
naam bhajan mei jyoti asimit
mangal deepak karman dipit
sakal amangal haran bhajan hai
sakal sumangal karan 


Ram Ka Gun Gaan Kariye

Lyrics-

Ram ka gungaan kariye
ram prabhu ki bhadrata ka sabhayata ka dhyan dhariye
ram ke gun gun chirantar ram gun sumian ratan dhan
manujata ko kar vibhushit manuj ko dhanwaan kariye
shagun bhrahma swaroop sundar sujan ranjan bhoop sukhkar
ram atmaram atma ram ka samman kariye dhyan dhariye


Shri Ram Jai Ram


Lyrics-

shree ram jai ram jai ram jai ram
shankar manas hans pranam
hans vansh avatans pranaam
atithi brahma raghuveer pranaam
jeeva prajanam dheer pranaam
dhanubhanjan shiva bhakta pranaam
tatsat vyaktaa vyakta pranam
vasundhara vardaan pranaam
shree ram shree ram
punya surabhi pavmaan pranam
chhiro dhadhi gambhirya pranaam
uttarttam uttirya pranam

Kripa Sarovar Kamal Manohar


Lyrics-

kripa sarowar kamal manohar
shree krishna charan gahiye
leela purushottama radhavar
radha maadhav bhav badha har
aakarshan ke kendra krishna hain
sundartam rasikendra krishna hain
krishna krishna kahiye
shree krishna sharan gahiye
sada sarwamaya hai sarvottama
kyu na sada dhyayae unko hum
sakal labh lahiye

 Baaje Re Muraliya Baaje


Lyrics-

vimukh shikhar se dhara
dhaye radha hari sammukh aaye
bansuriya hari saanwariya ki radha gori sun bhave
baje muraliya baje baaje re muraliya baaje
adhar dhare mohan murali par hont pe maaya viraaje
hare hare baans ki bani muraliya
maram maram ko chhuve anguliyaan
chanchal chatur anguliyan jispar
pili mundari anguri shyam
mundari par radha ka naam
aakar dekhe sune madhur swar
radha gori laaje
kanak mundariya saaje

Narayan Vandan


Lyrics-

naarayana vandan nirantar
nidhi pati narayana prati nidhi nar
aayen nit nav nidhi nar ke ghar
narayan ka nitya nirantar kar man abhinandan
narayana bin nar agyani narayana nar ke vardani
ek manorath rath main baithe nitya janardan jan
nar ke nitya sakha narayana nar ke karan geeta gaayan
hum bhagatan ke bhagat humare narayana ka pran
shree man narayana bhajman narayana

Hari Ka Bhed Na Payo



Lyrics-

jiya mein basi wako naam
rama hari ka bhed na jana


Jaadu Bhareli



jadu bhareli do albeli naina rasile
dans jahrile 
banki nazar se mohe bhaye kajrile 
tore albele naina rasile   

Jamuna Ke Teer




Jo Bhaj Hari Ko Sada



jo bhaje hari ko sada
soyi param pad paayega
deh ke mala tilak aur
haath nahi kuch kaam denge
prem bhakti ke bina nahi
nath ke man bhayega

dil ke darpan ko safa kar
door kar abhiman ko
khak ho guru ke kadam ki
to prabhu mil jayega

chodd duniya ke maje sab
baith kar ekant mein
dhyan dhar hari ka charan ka
phir janam nahi aayega

dridh barosa man mein karke
jo jape hari naam ko
kehta hai Brahmanand
bheetar payega

Meaning -

Who remembers lord always
will get the supreme abode

 Kripa Sarovar



kripa sarowar kamal manohar
shree krishna charan gahiye 
leela purushottama radhavar 
radha maadhav bhav badha har
aakarshan ke kendra krishna hain
sundartam rasikendra krishna hain
krishna krishna kahiye 
shree krishna sharan gahiye
sada sarwamaya hai sarvottama 
kyu na sada dhyayae unko hum 
sakal labh lahiye 

Piya Milan Ki Aas



Sumati Sita Ram



Lyrics-

Sumati sita ram aatmaram sitaram
Taran taaran charan chaaro dham
shashwati sree kripa sita ram shree karuna ratan
bharat laxman shatrusudan sahit shree panchayatan
sarvada sammukh viraje aanjaneya pranaam
dhanya jisne dhyandhar bhumadhya mein dekha
ayodhya hai bhakt ki mastak tilak rekha
navdwara puri jiska patitpavan naam
sita ram sita ram


Piya To Manat Naahi

                                                             Listen to piya to manat nahi 



Lyrics- 

ab to piya to manat nahi
kaun gunan se manau

more piya aiso nithure 
preet ku dani janat nahi  

Yeh tan mundana be mundana


Lyrics-

yeh tanu mundana be mundana
aakhir matti mein mil jana

matti kahe kumhar ko be tu kyu khode mujhko
koi bakht aisa aavega ki main gadhungi tujhko

lakdi kahe sutar ko be tu kyu chhede mujhko
koi bakht yu aavega ki mai jalau tujhko

kahat kabira sun bhai saadho
dena nahi tha lena
bhav bhagat se paar utaro
ram naam jap kar karna 


Kaya nahi teri nahi teri

Lyrics-

kaya nahin teri nahin teri
mat kar meri meri
yeto do din ki zindgani
jaisa patthar upar paani
yeto hovegi phulvari
jaisa rang tarang milave
yeh to palak bichhe ur jaave
ante koi kaam nahi aave
sun baat kahun parmani
waha ki kya karta gumani
tumko badi hai bemani
kahat kabira sun nar gyani
yah seekhat jadabhimani
tere ko baat kahi samjhani 


Sun sun sadho ji

Lyrics-

sun sun sadho ji raja ram kaho ji
bhav bhakti ka buta saare yog yugati nahi paave
bhagat bhool gaye ram diwane nijpat vako deve
kya madumi ugrasen ki , surat kya kubje ki
dhan bhari te ram milat pat jaane sudam ji ki
kahat kabir suno bhai sadho ram milat hai bhakti
jantar mantar latpat hove ram bhajan se hai mukti


Beet gayen din

Lyrics-

Beet gayen din bhajan bina re
Bal awastha khel gawayon
Jab joban tab maan ghana re
Laje karan mool gawanyo
Ajahun na gayi man ki trishna re
Kahat Kabir suno bhai sadho
Paar utar gayen sant jana re

Sangat santan ki karle


Lyrics-

Sangat santan ki karle janma ka sarthak karle
uttam nar deh paya prani iska hit kacchu kar le
sadguru sharan jake baba janma maran door karle
kahan se aaya kahan jaavega ek kuchh malum karna
do din ki zindagani ban mein hoshiyaar ho ke chalna
kaun kisi ke zoru ladke kaun kisi ke saale
jab lag pallu mein paisa bhai tab lag meetha bolen
kahat kabira suno bhai sadho baar baar nahi laana
apna hit kacchu kar kar le bhai aakhir akela jaana

Naam japan kyu chhod diya



Lyrics-

Naam japan kyu chhod diya
krodh na chhoda jhoot na chhoda
satya bachan kyu chhod diya
jhhute jag mein dil lalchakar
asal vatan kyun chhod diya
kaudi ko to khoob sambhala
lal ratan kyu chhod diya
jin sumiran se ati sukh paave
tin sumiran kyu chhod diya
khalish ek bhagwaan bharose
tan man dhan kyu na chhod diya

Sab paise ke bhai

Lyrics-

Sab paise ke bhai dil ka sathi nahi koi
khane peene ko paisa hove to joru bandagi kare
ek din khana nahi mile to phir ke zawab kare
bhai bandhu aur bahin saale sab paise ke bhai
ko na kisi ka nahi re pyare kahat kabir sunayi

Darshan dena pran piyare



Lyrics-

darshan dena pran piyare
nandlala mere naino ke pyare
deenanath dayal sakal guna
nava kishore sundar mukh wale
manmohan man rukat na rokyo
darshan ki chit chah humare
rasik khushal milan ki aasha
nisdin sumiran dhyan lagave

Mat kar moh tu

Lyrics-

Mat kar moh tu hari bhajan ko maan le
nayan diye darshan karne ko
shravan diye sun gyan re
vadan diya hari gun gaane ko
haanth diye kar daan re
kahat kabir suno bhai sadho
kanchan nipajat khan mein

Jai durge durgati pariharini


Jai Durge durgati pariharini
Shumbh vidarini maat bhawani
Aadi shakti parbrahma swaroopini
Jagadjanani cahuveda bhakhani
Brahma Shiv Hari archana kinho
Dhyan dharat sur nar muni gyani
Astabhuja Kar khadda viraje
shingh sawaar sakal vardani
Bhrahmanand sharan mein aayo
Bhav bhaya nash karo maharani


Maharaj bhawani

Maharaj Bhawani Brahmabhuvan ki rani 

Lyrics -

Maharaj bhawani brahma bhuvan ki rani
aage shankar taandava karat hai
bhaav karat shool paani
sur nar gandharva ki bheed bhayi hai
aage khada dand  paani
surdas prabhu pal pal nirkhat
bhaktvatsal jagdaani

Sharda vidyadani


Sharda vidyadani dayani
jagadjanani dukhharni gyan ki maat saraswati
kije kripa drishti sewak par apne narayani seta kamalasini  
seta seta hathini seta ashwini har parvati

Jai Jagadeeshwari


Jai Jagadeeshwari mata Saraswati, sharnagat pratipaalanhari.
Chand bimb sam vadan viraje, sheesh mukut mala gale dhari.
Veena vaam ang mein jhoole, saamgeet dwani madhur piyari.
Shwet basan kamalaasan sundar, sang ati hi subh hans sawari. 
Brahmanand main das tumharo, ki darshan parbrahma dulari.


Paar karo araz suno


Lyrics -

Aaya dwar tumhare rama

Listen to aaya dwar tumhare Rama

Lyrics -



Aaya dwar tumhare rama 

jab jab bhir pari bhaktan pe
tumne hi dukh taren rama


Ram prabhu aadhar jagat ke

Listen to Ram prabhu aadhar jagat ke

Lyrics-

Ram prabhu aadhar jagat ke
ram jeevanadhar
ram ek aadarsh humare
vandan karun hazar
do akhsar ki amogh shakti
maha mantra hai mangal naam
shree ram jai ram jai jai ram
ajanubahu veer dhanurdhar
shyamal kanti sharir sundar
sur nar palak asur sanharak
bhakt jano ke hain vishram

Guru bin kaun batave baat


Lyrics- 


Guru bin kaun batave baat 
bada vikat yamghat
bhranti ki pahadi nadiya beech mein 
ahankar ki laat
kaam krodh ko parvat thade
lobh chor sanghaat
mad me sarita meh barsat 
maaya pawan bah jaat 
 kahat kabir suno bhai sadho
kyun tarnaaye ghat

Ankhiyan hari darshan ki pyasi

Listen to ankhiyan hari darshan ki pyasi

Lyrics -

Hari darshan ki pyasi akhiyaan hari darshan ki pyasi 
dekhyo chahe kamal nayan ko nis din rahat udaasi 
akhiyaan hari darshan ki pyasi
kesar tilak motin ki maala vrindavana ke vaasi 
neh lagaai tyag gayen trin sam daal gayen gal phansi 
akhiyan hari darshan ki ...... 
kahoo ke mana ki ko jaanat logan ke man haasi 
surdas prabhu tumhare daras bin leho karvat kashi ankhiyaan
hari darshan ki pyasi hari darshan ki........ 


Tum meri rakho laaj hari

Listen to tum meri rakho laaj hari

Lyrics -

Tum meri rakho laaj hari 
Tum jaanat sab antaryami karni kachhu na kari
Avaguna mose bisrat nahi 
Pal chhin ghari ghari 
Dara sut dhan moh liye ho 
Sudh budh sab bisari 
Sur patit ko beg ubaaro 
Ab mori naav bhari 



No comments:

Post a Comment