Hindu dharm -
Hindu dharm - Sanatan Vaishnav dharm hi hindu dharm hai / aise isme shaiv aur sakth mat bhi hai / Jain , Baudh , aur sikh bhi hindu hi hai per unka alag padhti hai / Jain dharm ke 24 be tirthankar mahabi the , Jain dharm ke pratham tirthankar brikhavdev , tatha gautam budh Vishnu bhagwan ke 24 avtaron me ate hai / Arya samaj bhi hindu hai per be nirakar bhagwan ko mante hai; murty pooja nahi karte hai //
Hindu dharm me bhagwan swaim Ram aur Krishna banker aye hai ; islam [ muslim ] dharm me kuda swim nahi aye hai unke doot Paigambar Hajrat Mohammad aiye hai ; Isai [christen ] dharm me god swaim nahi aye hai unke dut Issu mashih [jesus crist ] aye hain //
Hindu dharm me Bhagwan ek hai per roop anek hai ; per Islam me Khuda [nirakar ]ek hai , aur isai me God [nirakar ] ek hai //
Hindu dharm me punar janm hai , puv janm ka lekha agle janm me rahta hai / per anya dharmo me punar janm nahi hai ; khuda , god khud naye janm ke karmo likh kar bhejte hai //
Hindu dharm ka Ved , Puran aadi to sristi ke arambh me brahma ji se chala araha hai , per Bhagwan ki prerna se narad muni ke khne per vyas muni apne pita prashar muni ebam anya bare bare rishi muniyon se sunkar ,Ganesh jiki sahayta se 4 Ved 18 Puran likhe / Kaliyug me pooja path , bahut pechida ho gya , tub sabhi Sanatan Vaishnav dharm chor kar Budh dharm kea san padhati ko apnaya / Shankar bhgwan ke avtar aadi Sankracharya aakar Phir se Sanatan vaishnav dharm ko pracharit kiya ; unhone iske liye bharat ke east me Jagannath puri me ; west me dwarka me ; north me Badrinath me ; tatha south me kanchipuram me 4 peeth banaya ; jaha 4 sankaracharya baithaya //
Jub Jub dharm ka patan hota hai ; Papion ka atyachar santo per barh jata hai tub tub palan karta vishnu bhagwan papion ken ash ke liye aur santo ki rakchha ke liye manusya avtar lete hai //
No comments:
Post a Comment