Listen to vrij ke birahi log bichare
Lyrics-
vrij ke birahi log bichare
bin gopal thage se saare
ati nirbal bal haare
jo kou kanha kanha kar bolat
akhiyan bahat panare
ya mathura kajal ki rekha
jo niksat so kaare
maat yashoda panth niharat
nis din saanjh sakare
parmanandswami sab aise
jo chanda bin taare
Listen to chalo man ganga jamuna teer
Lyrics-
Chalo man Ganga Jamuna teer
Ganga Jamuna nirmal paani
sheetal hot sharir
bansi bajavat gaavat kanha
sang liyo balbeer
chalo man ganga jamuna teer
mor mukut pitambar sohe
kundal jhalkat heer
chalo man ganga jamuna teer
meera ke prabhu giridhar nagar
charan kamal parseer
chalo man ganga jamuna teer
Listen to vrindavan ki ore
Lyrics-
chalo man vrindavan ki ore
prem ka ras jahan chhalke hai
krishna naam se bhor
bhakti ki reet jahan pal pal hai
prem preeti ki dor
radhe radhe japte japte
dikh jaaye chitchor
Usha ki laali ke sang jahan
krishna katha ras barse
Radha raas biari ke mandir
jaate manva harase
brij ki maati chandan jaise
man ho jave vibhore
Van upvan mein krishna ki chhaya
sheetal man ho jaaye
man bhi ho jaave ati paawan
krishna kripa jo paave
Das narayana sharan tumhare
kripa karo is ore
Meaning -
O mind move towards Vrindavan
where there is a rainfall of "Love"
and the dawn appears with the name of Krishna
Where there is a trend of bhakti each and every while
and there is a bond of love and affection
where chanting Radhe Radhe
one sees the "Plunderer of mind" (krishna)
Where there is lucid rainfall of the Krishna's fiction
as it appears the redness of dusk
just going to the temple of Radha Raas Bihari
Mind feels the happiness
the earth of Brij is like sandel
where the mind plunges in exhilaration
There is presence of Krishna in the forests and the grooves
by which the mind cools down
and the mind also becomes pious
as it is blessed with the Krishna's grace
Narayan Das (the composer of this phrase)says -
I am in your shelter , please show your grace this side too .
(isnt this a b'ful bhajan ? I loove it so much )
Thanks .
Listen to deenan dukh haran dev
Lyrics-
deenan dukh haran dev santan hitkari
ajamil geedh byadh inme kah kaun saadh
panchhi ko pad padhaat ganika si taari
dhruva ke sar chhatra det
prahalad ko ubari det
bhakta hetu bandhyo setu
lankpuri jaayi
gaj ko jab grah grasyo
duhshashan cheer khasyo
sabha beech krishna krishna draupati pukari
itne hari aaye gaye
basnan aaroorh bhaye
surdas dware khado aanadhro bhikhari
Listen to gaiye ganapati jagvandan
Lyrics-
Gaiye ganapati jag vandan
shankar suvan bhawani nandan
Siddhi sadan gaj vadan vinayak
kripa sindhu sundar sab laayak
modak priya mud mangal data
vidya varidhi buddhi vidhata
maangat tulsidas kar jore
basahu Ram Siya manas more
Listen to Hay Gajvadana
Lyrics-
Hey Gajavadana Gauri nandana
raksha karo sabki
mangalmaya ho jeevan saara
dhara bahe sukh ki
Riddhi Siddhi ke data tum ho
vidya ke swami
vighna vinashak ekdant ho
tum antaryaami
chintamani ka kare jo chintan
chinta haro uski
mangalmaya ho jeevan ....
vishwavidhata vishwavinayak
jag ke paalanhaare
naad brahma ke tum nirmata
sur gana tum par vaaren
tum hi prerna tum hi chetna
aas hai darshan ki
mangal maya ho jeevan sara ...
jai gajanan jai gajanana gauri nandan shree gajanana
ganapati bappa tav sharanam jai asthavinayak tav sharnam
sidhhi vinayak tav sharanam jai varad vinayak tav shranam
jai shiv nandan tav sharnam jai parvati nandan tav sharnam
vakratundaya tav sharnam jai lambodaraya tav sharnam
buddhi data tav sharnam jai vighnavinashak tav sharnam
hey rambhaya tav sharnam jai mangal data tav sharnam
Listen to jhoolat saanware sang gori
Lyrics-
Jhoolat saanvare sang sang gori
amit roop gun sahaj madhuri
sobha sindhu jhakori
it sir mor mukut ki latkan
ut bandhe sir gori
kundal lol kapolan jhalkat
ut hi ban ki chakori
it ut mein sarke mukta so
chop badhi ati jori
rasik pritam vallabh kataksha chhavi
haav bhaav chitchori
Listen to jo bhaje hari ko sada
Lyrics-
jo bhaje hari ko sada
soyi param pad paayega
deh ke mala tilak aur
haath nahi kuch kaam denge
prem bhakti ke bina nahi
nath ke man bhayega
dil ke darpan ko safa kar
door kar abhiman ko
khak ho guru ke kadam ki
to prabhu mil jayega
chodd duniya ke maje sab
baith kar ekant mein
dhyan dhar hari ka charan ka
phir janam nahi aayega
dridh barosa man mein karke
jo jape hari naam ko
kehta hai Brahmanand
bheetar payega
Listen to kaisi leela anupam prabhu ki
Lyrics-
Kaisi leela anupam prabhu ki
bhakton tanikk vicharo
kevat se shree Ram kahen
mujhe ganga paar utaaro
lanka tak jaane jab ganga tat pahunche raghurai
bhole kevat se prabhu dini apni vyatha sunai
kevat ne bhi man ki shanka tab prabhu ko batlayi
naiya la kar kahe prabhu se charan la ispe dharo
sakuchaya kevat kahe prabhu se gayi meri mati maari
charnon ki raj lag ke suna hai sheela hui ek naari
naav hui naari to mujhpe hansegi duniya saari
pehle charan pakharungi tabhi prabhu aan padharo
Listen to Kitak din hari sumiran bin
Lyrics-
Kitak din hari sumiran bin khoye
par ninda ras mein rasana ke
japane parakh daboye
tilak lagaye chale ban swami
vishayan se mukh dhoye
kaal bani te sab jag kanpat
brahmadikhun roye
sur adham ki kaho kaun gati
udar bhare par soye
Listen to lagan bin lage na nirmohi
Lyrics-
Lagan bin lage na nirmohi
bina lagan ki preet baanvare
os neer kyu dhoyi
hum to ramte Ram bharose
raja kare so hoyi
bin kirpa satguru nahi pave
laakh jatan kare koi
kkahe kabir suno suno bhai sadho
guru bin mukti na hoyi
Listen to mat kar moh tu
Lyrics-
Mat kar moh tu hari bhajan ko man re
nayan diye darshan karne ko shravan diye sun gyan re
vadan diya hari gun gaane ko haanth diye kar daan re
kahat kabeer sun bhai sadho kanchan nipajat khan re
Listen to natvar naagar raas rasik
Lyrics-
Natvar naagar raas rasik var
radha dekh lubhani
pulak pulak ang madan shyam rang
chhavi ki chhata suhani
radha dekh lubhani
radha roop feri ke hari ke hiya
jaage madan hilore
puran chandra kiran mein umagi
sagar tarang kilore
rahas rahas hari aalingan mein
dole ur ko haar
jamuna ke nilam jal upar
ujli fen fuhaar
radha dekh lubhani
chanchal mukh chal taral nayan mein
jage madan tarang mein
khanjan yugal sharad pankaj par
khelat lalaki umang
radha dekh lubhani
Listen to Ram tumhare in charnon mein
Lyrics-
Ram tumhare in charnon mein mera teerath dham
sada hi rakho apne sharan mein
bhakti karoon nishkaam
karun main seva darshan paun
yahi humari ichha
Ram bhagat kehlau jan jan
maangu tumse bhiksha
charan tale hi moksha hai prabhu ji
jeevan ko hai viram
divya tumhara roop jagat mein
tumse chanda suraj
nirmal karte ho tan man ko
jyun jal mein ho neeraj
tumhare charan ki mahima gaaun
wahin karoon vishram
mara mara bhi japne wala
satgati satpath pata
tum parmeshwar jag ke swami
tum ho bhagyavidhata
charnamrit main chahun prabhu ji
bhor raat aur sham
Listen to Sai parmeshwar
Lyrics-
Sai parmeshwar sai karuneshwar
mukti data hey jagadeeshwar
bhatak raha hai papi man yeh
maya ke jungle mein
ab to mujhko shanti de do
apne charan kamal mein
atal ho shraddha tum par meri
yeh vardaan mujhe do
har prani mein dekhu tumko
yeh guru gyan mujhe do
Listen to shree ram chandra
Lyrics-
Listen to Thayee thayee nandkumar
Lyrics-
thayee thayee nandkumar nachat ta
sakhiyan kahat tatat ta thai thai
manjuni punj majhaar nachat ta
bajat charan chhom chanana na nupur
kin kini dhuni jhankaar nachat ta
hastha mastak kati pat bhrikuti
bhed dikhau nihaar nachat ta
bajat chand mridanga dhol dhap
sabe suran ek saar nachat ta
pancham sur so kunj viharini
gaavati raag malhaar nachat ta
kaBAHUN VILAMBIT KABAHUN MADHYA LAYA
KABAHUN ki drut laya dhaar nachat ta
lalita aadik sangeet swaminihu
karat swaran vistaar nachat ta
kahat kripalu sakhin sab jai ho
jai ho jai balihari nachat ta
No comments:
Post a Comment