Guru prarthana





Guru prarthana 

Guru vandana 


Lyrics -

Hey deenbandhu dayalu guru kehi bhanti tav guna gaun main
Tumhre pavitra charitra kehi vidhi nath kahi ke sunaun main
Jihva apavan hai meri, guru nam kaise lijiye
Mun funs raha bhav-jaal mein vah kis tarah prabhu dijiye
Dhan dhanya maya roop hai kyonkar nyochhavar kijiye
Sansar sagar mein funsa guru dhyan kaise kijiye
Tun kaise arpan kar sakoon, vah to maha paapi adham
Dhan dhanya au mun deke guru tum se nahin uddhar ham
Shraddha sumirani bhent kari main deen ho charano pada
Main patit hoon tum patit pavan, aapka hai aasra
Bhav sindhu mein hoon funs raha gurudev mujhe uthaiye
Gahi baanh deenanath apradhi ko par lagaiye
Jo deen ho charano pade he nath ve sare tare
Tera bhikhari tum bina prabhu asra kiska kare
Main deen hoon tum deen bandhu, main adham tum naath ho
Main hoon anath kripanidhan to tum anathon ke nath ho
Mata pita sut bhrat bharya koi sath na jayenge
Us paak kumbhi narak mein koi na hath batayenge
Yah soch ke tab sharan aya ab thikana hai nahin
Bas paar kar do meri nauka aur apna hai nahin

Guru bin kaun bataave

Listen to Guru bin kaun batave


Lyrics -

Guru bin kaun batave baat
bada vikat yamghat
bhranti ki pahadi nadiya beech mein 
ahankar ki laat
kaam krodh ko parvat thade
lobh chor sanghaat
mad me sarita meh barsat 
maaya pawan bah jaat 
 kahat kabir suno bhai sadho
kyun tarnaaye ghat 

Humare guru mile brahma gyani 


Humare guru mile brahma gyani
payi amar nishani 

kaag palatehu hansa kine 
dinhi naam nishani 
hansa sukhsagar par 
mukti bhare jahan pani 

jal bich kumbh kumbh vich jal hai 
bahar bhitar pani 
bikasyo kumbh jal, jal hi samana 
ye gati birle hi jani 

hai athah thah santan mein 
dariya lehar samani 
bhiwar jaal dal ka karihe 
jab meen bikhal bhaye pani 

anubhav ka gyan bujhalta ki vaani 
so hai akath kahani 
kahe kabir kunge ki sain 
jin jani un maani 

Humare guru puran datar 


Lyrics -

humare guru puran dataar 
abhay daan deenan ko dine 
kinhi bhav jal paar

janam ke bandhan kate 
yam ko bandh niwar 
rank hute so raja kinhi 
anna dhan diyo apaar  

deve gyan bhagti puni deve 
yog batawan haar 
tan man vachan sakal sukhdayi 
hirday buti ujiyaar 

sab dukh ganjan patka bhanjan 
ranjan gyan bichar 
saajan durjan jochan aayve 
ek hi drishti nihaal 

anand roop swaroop mayi hai 
lipta nahi sansaar 
charandas guru sahajo kere 
namo namo barambaar 

Sai baba bhajans 

Sai teri yaad


Sai teri yaad maha sukhdai
Ek tuhi rakhwala jag mein,tuhi sada sahai .
Tujhko bhula jag dukhiyara , sumiran bin man mein andhiyara 
Hoon charnan sharanaai ..
Sanchi preet tihari data , tere bin sab jhuta nata 
Tune kripa barasai …

Tere dware khada aan mili

Listen to tere dware khada

Lyrics -

tere dware khada aan milo mere sai
mere man nein yeh aas lagayi 

lagi lagan meri tum hi so jag ki preet bhulayi
teerath dham anek chhane koi khabar nahi payi 

man mandir mein aan birajo bhagati sej bichhayi
bin darshan yh bujh na jaaye prem ki jyot jalayi

aaradhan mera sweekaro lelo nij sharnayi 
hey karunamaya kirpa kije dware jholi phailayi

dukhiyon ke dukh harne wale mori sudh bisrai kyun 
tum bin mero kaun hai data sharan pade ka sahayi 

Sai naam ka pyala pee le 


Lyrics -

Sai naam ka pyala pee le  dhalne lagi hai sham 
jeevan rajni dwar khadi re  japa nahi tune naam 
japle sai naam 
bolo ram sai ram ..

man mein uski jyot jala le usko apna meet bana le 
karde apna sara jeevan re man uske naam 

ghat ghat wasi tum avinasi kripa karo prabhu main abhilashi
reet na janu main pooja ki gir ke rijhaun ram

karle uski sachhi pooja ussa sathi aur na dooja 
pal pal chhin chhin sang woh tere bigade banaye kaam

Sai naam ka ras barsaao


Lyrics  -

Prabhu ji..
  sai naam ka ras barsao 
jeevan safal ho mera sai 

main to balak tum mere sai 
sharan mein apni bula lo 
aarti teri roz main gaaun 
preet ki reet sajao 

Sharnagat sai charnon mein 


Lyrics -

Shranagat sai charnon mein 
tere charnon mein  charnon mein
patit pawan sai charnon mein 

in sanson ko aas hai teri in naino ko pyas hai teri 
pooja archana meri tere charnon mein charnon mein 

jeevan ka anmol khajana tere naam se bharte jana
jag chhute man doobe tere charnon mein charnon mein

sai tum ho bohat kripalu daya karo sai  tum ho dayalu 
beete baki jeevan tere charnon mein charnon mein 

Tere rang hain nyare baba 


Lyrics -

kabhi hansaye kabhi reulaye tere rang hain nyare baba
dhoop chhav ke khel ranchaye jeevan bhar do sare baba

rang birangi sundar duniya kaise tune banayi 
suraj chanda pawan aur paani in sab se hai sajayi 
oh mahan kala ke swami tujhe dhoondhate saare baba

haar jeet ka jag mein mela laga diya hai tune 
bhool bhulaiya yeh zindagi uljhaya hai tune 
dukh aur sukh ke jhonko mein hai tujhe yaad kare saare baba

kaun dost hai kaun hai dushman manbhavo ke rang 
kaun kisi kya swarth mein lipte sab ek duje sang 
ant samaya mein apna tan bhi saath rahe na baba 

Man mein ganth padi mere sai 


Lyrics -

man mein gaanth padi mere sai tum hi isko kholo
andhkaar ko door karo sai man ki ankhiyaan kholo 
mere mna ki ankhiyan kholo 

pyar ka bhaw bana kar tum ne duniya ka rang sajaya 
pyar ko hi moh jaal kaha phir pyar ko hi jhuthlaya 
khud hi banaya phir khud hi mitaya bolo sai bolo 
mere man ki ...

daulat hi apaar kahin kahin nirdhan kangal 
murakh ghadi ati sundar kahin vikrit roop vikaar 
kyun na banaya ek sa sab ko 
mere man ki ....

jihva banayi sab rang bole man pure jag dole 
saans ki chakki ek si sab mein lal lahu tan dole 
karam hai phir bhi alag alag kyun bolo sai bolo 
mere man ki ....

Naina neer bahaye 


Lyrics -

Naina neer bahaye hain sai 
tere paawan darshan paayen pagal khushi manaye hain 

kalushit jag ko dekh dekh ke naino mein ho bahut thakaan 
sara kalush baha ban ashru teri chhavi basaye hain

rom rom mein baso prabhu tum pehle kyun na mujhe jagaya 
raha bhatakta pehle yeh man sharan tihari aayen hain

ganga jamuna sa nirmal man naian aan samaya
tere preet ki baat kare yeh ro ro haal sunaye  hain 

Man re tu sumiran kar sai naam


Lyrics -

Man re tu sumiran kar sai naam
jag ke jhoote chhod de kaam sumiran kar sai naam 

jag mein aake sudh budh khoyi jhoothi maya uljhaye mohi 
kaal ka panchhi udta jaaye toote gi saans bina sai naam

meri meri ratate ratate poori nahi ho apni kahani 
dhan daulat yeh mahal atari jeevan ritu bani sham

subah ka bhoola sham ko lauta  kshama karo prabhu das main chhota 
tumko na jana abtak swami kiya jeevan tere naam 

Lagan lagi tere naam ki 


Lyrics -

Lagan lagi tere naam ki baba bole sai sai naam 
man dole kab jaaunga shirdi dham 

chalo shirdi sai dham 

baba mere adhir man ko dheeraj se tum bhar dena 
reeti jhole laya hoon main naam ke moti bhar dena 
chahu disha se barse ga amrit sai sai naam 
man dole...

sab dukhiyo ko mile sahara tere dware aake 
'sachhe man se jo bhi aaye preet ki jyot jaga ke 
jeevan rajni roshan ho jaaye tere naam ki chhah
man dole..

 jeevAN APNA SARTHAK KAR LOON JAP KAR SAIN NAAM 
SHEESH JHUKA KAR TERE CHARNON KARUN SADA TERA DHYAN 
BAKI UMRA SHIRDI MEIN BEETE BAS YAHI ARMAAN 
MAN DOLE 

Sai nath tere hazaron haath


Lyrics -

Tu Hi Fakir Tu Hi Hai Raaja Tu hai Sai Tu Hi Hau Baba 

Sainaath tere Hazaaron Haath, Jis Jis ne teraa naam liyaa 
Tu Ho liyaa uske saath 
Sai Naath Tere Hazaron Haath 
it dekhu to tu laage kanaiya ut dekhu to Durgaa Maiyaa
Nanak si muskaan hai mukh par Saan a muhammad bhi hai mukh par

Raam Naam ki hai tu mala, Gautam waalaa tujme ujaalaa
Neem tere ki meethi chaayaa badle har chole ki kaaya

Teraa dar hai dayaa ka saagar, sab mazhab bharte hai gaagar
paavan paaras teri aag, tera patthar kan kan main raag


Tera Mandir sabka Madinaa, jo bhi aaae sikhe jinaa 
Tu chaahe to tal jaae ghaat Tu hi bholaa Tu hi naath


Share: